dil men paigham-e-mohabbat sa utara ja.un
is se pahle ki kisi bhiiḌ men maara ja.un
vasl ki chaah men ye hijr kamaya main ne
hijr ko ḳharch karun ziist se haara ja.un
ruThi taqdir huun to mujh ko manaya jaa.e
aur gar bigḌa muqaddar huun sanvara ja.un
ek arse se ḳhalaon se sada aati hai
aisa lagta hai mujhe us ne pukara ja.un
main nahin un men ki jo ḳhud ko kisi par thopen
bhar gaya mujh se agar dil ye tumhara ja.un
ab yahan pahle si jazbat men shiddat na rahi
ab yahan hoga nahin apna guzara ja.un
de ḳhuda kaash use dil ki masiha.i ‘shahab’
aur sahifon sa main phir us pe utara ja.un
Leave a Reply