main ne kya kaam la-javab kiya
us ko aalam men intiḳhab kiya
karam us ke sitam se baḌh kar the
aaj jab baiTh kar hisab kiya
kaise moti chhupa.e ankhon men
haa.e kis fan ka iktisab kiya
kaisi majburiyan nasib men thiin
zindagi ki ki ik azaab kiya
saath jab gard-e-ku-e-yar rahi
har safar ham ne kamyab kiya
kuchh hamare likhe ga.e qisse
baare kuchh daḳhil nisab kiya
kya ‘obaid’ ab use main duun ilzam
apna ḳhana to ḳhud ḳharab kiya
Leave a Reply