tumhari tariḳh koi badle use miTa.e to sar uThao
agar sharafat na kaam aa.e na haq dila.e to sar uThao
kahin ujala kahin andhera baghair sazish nahin hai mumkin
charagh jab raushni barabar na baanT paa.e to sar uThao
kisi ke hisse ki barishen jab kisi ki faslon ko lahlaha.en
aur us ki sazish ka shak hava par agar na jaa.e to sar uThao
agar ho kanTon ki qadr-o-qimat kisi chaman men gulon se baḌh kar
aur us ka maali dalil de us ko haq bata.e to sar uThao
qalam uThao nazar milao tum ab lab-e-ehtijaj kholo
muḳhalifat se munafiqat ko koi bula.e to sar uThao
kisi ki baton men tum na aao na sar uThao na sar jhukav
agar tumhara zamir jaage tumhen jaga.e to sar uThao
ye kya ki har vaqt ji-huzuri men sar jhuka.e hue ho ahya
agar baghavat ka par tumhara bhi phaḌphaḌa.e to sar uThao
Leave a Reply