bata manzil-e-shauq kya ho gaya
miri koshishon ka sila kho gaya
havadis kei andhi hai zoron pe aaj
mira rahbar aaj kyon so gaya
na pand-o-nasihat na zauq-e-amal
ye shaiḳh-o-barahman ko kya ho gaya
chaman se guzarti hai munh pher kar
saba kei adaon ko kya ho gaya
tiri dil-navazi kei kya dega daad
palaT kar vo aaya nahin jo gaya
Leave a Reply