koi na dekha ki vapas aaya ḳhuda ke ghar ek baar ja kar
vo dair-o-ka.aba men hai muqayyad ḳhuda ḳhuda kar ḳhuda ḳhuda kar
samajh na tu us ko be-nava.i ye do-jahan ki hai badsha.i
ki daulat-e-ishq haath aa.i mata-e-duniya-o-din luTa kar
jahan ki ka.enat kya hai umid-e-uqba men kya dhara hai
bari hain jo us se vo na dekhen idhar zara aankh bhi uTha kar
karam tira tama.a par hai mabni hai teri ḳhairat is nafas par
ki suud men ashrafi milegi jo dega ik daam haath uTha kar
ye dil-lagi kya hai bad-o-baran hansi hai ye ya sitam-zarifi
gulon ko miTTi men kyuun milaya khila khila kar hansa hansa kar
na rah sake pesh-e-mehr-e-taban gul aur shabnam men rabt-e-rasmi
main kaT gaya kal jahan se ‘kaifi’ dil ek dildar se laga kar
Leave a Reply