na puchh ham se hamari uḌaan chhoḌ na yaar
baḌi tavil hai ye dastan chhoḌ na yaar
nikal paḌe jo safar men to sochna kaisa
kahan hai dhuup kahan sa.eban chhoḌ na yaar
dabi hai aag jo dil men use kuredo mat
yahin kahin tha hamara makan chhoḌ na yaar
ye soch ham ko pahunchna hai apni manzil tak
na gin kisi ke qadam ke nishan chhoḌ na yaar
ḳhushi thi muul to gham tha byaaj ke jaisa
tamam umr bhara hai lagan chhoḌ na yaar
hua hai zindagi bhar ki jugaḌ roTi ka
biki hai qiston men apni dukan chhoḌ na yaar
libas sunnati hai ummati mohammadi huun
na puchh ab ye nasab ḳhandan chhoḌ na yaar
ye sab bulandiyan allah ke liye hain ‘chand’
maqam martaba rutba ye shaan chhoḌ na yaar
Leave a Reply