ḳhud ko tamasha ḳhuub banata raha huun main
qimat bhi sadgi ki chukata raha huun main
yuun bhiiḌ men to luTna baḌi aam baat hai
sahra men ḳhud ko tanha luTata raha huun main
manzil ki justuju bhi ajab shai hai dosto
Thokar se zaḳham apne lagata raha huun main
kar ke kisi ko ḳhvar bahut hansta hai bashar
sah ke sitam bhi ḳhud ko hansata raha huun main
karta tha jab ‘saba’ ko zamana bhi na-murad
himmat se azm aur baḌhata raha huun main
Leave a Reply