zaban kya hai mohabbat ki guftugu kya hai
ba-juz nigah ke paigham-e-arzu kya hai
ye jan-e-husn-e-mohabbat hai aarzu kya hai
na ho ye dil men to main kya huun aur tu kya hai
lahu jo garm na kar de vo aarzu kya hai
jo aarzu se na garma.e vo lahu kya hai
ḳhuda kare na kare husn se tajavuz-e-ishq
abhi to mujh se vahi kah rahe hain tu kya hai
tujhe bhi bhuul ga.e tere DhunDne vaale
ye hosh bhi to nahin hai ki justuju kya hai
baja ki ḳhuun ki garmi ka naam hai insan
na ho jo garm-e-mohabbat se vo lahu kya hai
ghalat samajh ke nahin dekhta huun teri taraf
ye dekhta huun ki andaz-e-guftugu kya hai
jinhen hai tujh se mohabbat vo jante bhi nahin
ki rashk kahte hain kis chiiz ko adu kya hai
rahe ilahi mire dil ki aabru qaa.em
sadaf men hai ye guhar dil men aarzu kya hai
hai un ki jumbish-e-abru pe aabru ka madar
jo jante bhi nahin hain ki aabru kya hai
siva.e zauq-e-nazar aur kuchh nahin ‘bismil’
ye phuul kya hain ye phulon men rang-o-bu kya hai
Leave a Reply