dukhti hai ruuh paanv ko lachar dekh kar
ruk ja.enge kahin koi divar dekh kar
subki na ho kahin taraf-e-yar dekh kar
ankhen uTha.iye bhi to dastar dekh kar
niklo jo ban-sanvar ke to bazar dekh kar
mangen hain mol shakl-e-ḳharidar dekh kar
kahna to bas yahi hai ki chahen hain ham tujhe
ghabra.iyo na baat ka bistar dekh kar
susta.e hai irada tasahul ke ru-ba-ru
dukhte hain paanv saya-e-divar dekh kar
apnon se munh chhupa.e phire hai ik aadmi
jeben TaTol ke kabhi bazar dekh kar
marun huun hath-paon bahut ‘ashk’ ḳhud ko main
apne hi bazuon men giraftar dekh kar
Leave a Reply