dil-e-mayus men vo shorishen barpa nahin hotin
ummiden is qadar tutin ki ab paida nahin hotin
miri betabiyan bhi juzv hain ik meri hasti ki
ye zahir hai ki maujen kharij az dariya nahin hotin
vahi pariyan hain ab bhi raaja indar ke akhade men
magar shahzada-e-gulfam par shaida nahin hotin
yahan ki auraton ko ilm ki parva nahin be-shak
magar ye shauharon se apne be-parva nahin hotin
taalluq dil ka kya baaqi main rakkhun bazm-e-duniya se
vo dilkash suraten ab anjuman-ara nahin hotin
hua huun is qadar afsurda rang-e-bagh-e-hasti se
havaen fasl-e-gul ki bhi nashat-afza nahin hotin
qaza ke samne bekar hote hain havas ‘akbar’
khuli hoti hain go ankhen magar biina nahin hotin
Leave a Reply