nahin ki main tha mire dhyan men nahin aaya
kuchh itna paas tha pahchan men nahin aaya
vafa na tar-e-gareban ne ki nazar ki tarah
nikal gaya to gareban men nahin aaya
chhupa chhupa sa phira dard muskurahaT men
jo saath the unhen pahchan men nahin aaya
hazar baar tasavvur ke shahr se guzra
vo ek sher jo divan men nahin aaya
ham ‘ashk’ DhunDte phirte the kya yahi chehra
ki mil gaya hai to pahchan men nahin aaya
Leave a Reply