yahan tak ham aa gae hain
aur haan tumhara pata inhin logon se maalum hua jo mar chuke the
jab ham chale the to aadhi umr bitane ke pachhtave ke samne din duub raha tha
ek ghoda khada tha
aur haanp raha tha
ek minute thahro main thodi si chaae pi luun to aage badhun
mere haath men ye jo safed kaghaz hai ise tumhari himaqat nahin chhin sakti
aur na hava uda sakti hai
agar tum tairna jante ho to zindagi bahut buri hote hue bhi bahut buri nahin
tum bina thake hue bhi kai saal tak tair sakte ho
agar tumhare dil men ek yaad bhi baaqi hai
to jugnuon se bhare hue jangal is duniya men ab bhi hain
ek jugnu kahin se pakad lo
aur use apni jeb men rakh lo
aur andhere men chalo
raushni tumhari jeb se chhan-chhan ke rasta samghaegi
magar suno
jab rasta mil jaae to jugnu ko chhod dena
azad kar dena