zindagi men baḌe ḳhasare hain
chain se kis ne din guzare hain
saath rah ke bhi nyare nyare hain
ham bhi kya asman ke taare hain
bas hamin afaton ke maare hain
varna yaron ke vare-nyare hain
zindagi tere bal nahin nikle
ham agar haare tujh se haare hain
farq-e-dair-o-haram se kya lena
ek dariya ke do kinare hain
nekiyon hi ki pasdari ki
ham ne bichchhu bhi paar utare hain
chahe sach ho yaqin nahin aata
tum hamare na ham tumhare hain
kya kisi ko bura.i den ‘nami’
ham to apne kiye ke maare hain
Leave a Reply