zindagi ki saḳht zanjiron men jakḌa dekh kar
aaj tum bhi hans rahe ho mujh ko tanha dekh kar
ab to vo bhi mujh se katra kar guzar jaane lage
mere mahaul-e-pareshani ka naqsha dekh kar
hausla kis men tha jo deta barabar ka javab
sabr karna hi paḌa un ka ravayya dekh kar
aaj tujh ko bhi hansi aane lagi ai baghban
naujavan phulon ke armanon ko pyasa dekh kar
ahl-e-sahil ro rahe hain qatre qatre ke liye
zarf-e-dariya ro raha hai zarf-e-dariya dekh kar
meri ankhon se bhi ‘maikash’ gir paḌe ashk-e-alam
pir-e-mai-ḳhana ko tanha.i men rota dekh kar
Leave a Reply