• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zikr Mera Aur Tere Lab Par Yaad Meri Aur Tere Dil Mein

Zikr Mera Aur Tere Lab Par Yaad Meri Aur Tere Dil Mein

zikr mira aur tere lab par yaad miri aur tere dil men

jhuTi aas dilane vaale aag na bhaḌka mere dil men

mujh se ankhen pher ke tu ne ye mushkil bhi asan kar di

varna tere gham ke badle leta kaun basere dil men

pyar-bhari ummidon par aghyar ki vo zar-posh nigahen

kanTon ke paivand laga kar tu ne phuul bikhere dil men

puchh rahi hai duniya mujh se vo harja.i chand kahan hai

dil kahta hai ghair ke bas men main kahta huun mere dil men

kaash kabhi saffak zamana mera siina chiir ke dekhe

chain ke badle dard ne ab to Daal diye hain Dere dil men

Darte Darte soch raha huun vo mere hain ab bhi shayad

varna kaun kiya karta hai yuun pheron par phere dil men

pyaar ki pahli manzil par anjan musafir dekh raha hai

ankhon men sangin ujale aur sayyal andhere dil men

ujḌi yaado TuuTe sapno shayad kuchh malum ho tum ko

kaun uThata hai rah rah kar Tisen sham-savere dil men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bane Ho KHak Se to KHaksari Ho Tabiat Mein

Har Ek Shab Ke Guzarne Pe Muskuraati Hai

nazeer-akbarabadi

Aaya Nahin Jo Kar Kar Iqrar Hanste Hanste

Damak Raha Tha Bahut Yun to Pairahan Us Ka

nazeer-akbarabadi

Khushamad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet