zarra bhi agar rang-e-khudai nahin deta
andha hai tujhe kuchh bhi dikhai nahin deta
dil ki buri aadat hai jo mitta hai buton par
vallah main un ko to burai nahin deta
kis tarah javani men chalun raah pe naseh
ye umr hi aisi hai sujhai nahin deta
girta hai usi vaqt bashar munh ke bal aa kar
jab tere siva koi dikhai nahin deta
sun kar miri fariyad vo ye kahte hain ‘shair’
is tarah to koi bhi duhai nahin deta
Leave a Reply