yuuñ apne dil ko bahlāne lage haiñ
lipaT kar ḳhud ke hī shāne lage haiñ
hameñ to maut bhī āsāñ nahīñ thī
so ab zinda nazar aane lage haiñ
udāsī is qadar haavī thī ham par
ki ḳhush hone pe itrāne lage haiñ
jo dekhī ik shikārī kī udāsī
parinde lauT kar aane lage haiñ
salīqe se lipaT kar paaoñ se ab
ye ġham zanjīr pahnāne lage haiñ
ġhamoñ kī dhuup baḌhtī jā rahī hai
ḳhushī ke phuul murjhāne lage haiñ
faqat ab chand qadmoñ pe hai manzil
magar ham haiñ ki sustāne lage haiñ