ye ik tera jalva sanam chaar su hai
nazar jis taraf kijiye tu hi tu hai
ye kis mast ke aane ki aarzu hai
ki dast-e-dua aaj dast-e-subu hai
na hoga koi mujh sa mahv-e-tasavvur
jise dekhta huun samajhta huun tu hai
mukaddar na ho yaar to saaf kah duun
na kyunkar ho khud-bin ki aina-ru hai
kabhi rukh ki baten kabhi gesuon ki
sahar se yahi shaam tak guftugu hai
kisi gul ke kuche se guzri hai shayad
saba aaj jo tujh men phulon ki bu hai
nahin chak-daman koi mujh sa ‘goya’
na bakhiya ki khvahish na fikr-e-rafu hai
Leave a Reply