ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta
magar Thahrun kahan koi shajar achchha nahin lagta
yahi ik baat ab main sochta rahta huun ḳhalvat men
na jaane kyuun mujhe ab tera dar achchha nahin lagta
karam karte nahin kyuun tum mire qalb-e-shikasta par
mira yuun gham-zada rahna agar achchha nahin lagta
nigahon se jo ojhal us gul-e-ra.ana ka jalva hai
ye rang-e-sham ye rang-e-sahar achchha nahin lagta
udhar vo bhi bichhaḌ ke ham se kho.e kho.e rahte hain
akela mujh ko bhi rahna idhar achchha nahin lagta
uThi hai jab se ye divar-e-nafrat dal ke angan men
mujhe ai dosto ḳhud apna ghar achchha nahin lagta
Leave a Reply