yaaro hudud-e-gham se guzarne laga huun main
mujh ko sameT lo ki bikharne laga huun main
chhu kar bulandiyon se utarne laga huun main
shayad nigah-e-vaqt se Darne laga huun main
par taulne lagi hain jo unchi uḌaan ko
un ḳhvahishon ke pankh katarne laga huun main
aata nahin yaqin ki un ke ḳhayal men
phir aftab ban ke ubharne laga huun main
kya baat hai ki apni tabi.at ke bar-ḳhilaf
de kar zaban ‘faragh’ mukarne laga huun main
Leave a Reply