
Marghoob Ali
yaqin gum ho chuka ham se guman mahfuz rakkha hai
ḳhayal-o-ḳhvab sa rangin jahan mahfuz rakkha hai
hua mismar sab lekin jahan tum ghar banate the
vo dil ka ek TukḌa jan-e-jan mahfuz rakkha hai
shikasta ho chuke jal bujh chuke tariḳh shahid hai
fazaon men magar ab tak dhuan mahfuz rakkha hai
zamin par jo bhi mumkin tha vo sab kuchh kar liya yarab
hai ham se duur tera asman mahfuz rakkha hai
nahin mumkin magar yuun bhi hua dil ke samundar men
hui gharqab kashti badban mahfuz rakkha hai

Leave a Reply