vo vafur-e-lala-o-gul nahin vo nashat-e-qalb-o-nazar nahin
jo iram-ba-kaf thi dam-e-sahar vo bahar-e-shaḳh-o-shajar nahin
ye zamana fursat-e-gham agar mujhe de to main bhi dikha sakun
ki tajalliyan mire shauq ki faqat ek raqs-e-sharar nahin
tiri yaad ba.is-e-rahat-e-tapish-e-ḳhayal to hai magar
main hujum-e-shauq ko kya karun mire bas men dida-e-tar nahin
ye raza-e-yar ka paas hai ki ye sazishen hain havas ki
mire dil men soz-e-fughan to hai mire lab pe ah-e-sahar nahin
mira shauq abla-pa sahi miri raah rah-e-fana sahi
jo tira ḳhayal ho rahbar to andheri raat ka Dar nahin
tu kamal-e-shauq se saaz uTha miri jaan taron ke giit ga
tiri bazm-gah-e-tarab men ab kisi dil-jale ka guzar nahin
Leave a Reply