vo dil bhi jalate hain rakh dete hain marham bhi
kya turfa tabi.at hai shola bhi hain shabnam bhi
ḳhamosh na tha dil bhi ḳhvabida na the ham bhi
tanha to nahin guzra tanha.i ka aalam bhi
chhalka hai kahin shisha Dhalka hai kahin aansu
gulshan ki havaon men naghma bhi hai matam bhi
har dil ko lubhata hai gham teri mohabbat ka
teri hi tarah zalim dilkash hai tira gham bhi
inkar-e-mohabbat ko tauhin samajhte hain
iz.har-e-mohabbat par ho jaate hain barham bhi
tum ruk ke nahin milte ham jhuk ke nahin milte
malum ye hota hai kuchh tum bhi ho kuchh ham bhi
paa.i na ‘shamim’ apne saaqi ki nazar yaksan
har aan badalta hai mai-ḳhane ka mausam bhi
Leave a Reply