vahi sahil vahi manjdhar mujh ko
banaya us ne khevan-har mujh ko
zaban ki dhaar se dekha mila kar
lagi kuchh tez kam talvar mujh ko
biTha rakkha mujhe saa.e men jis ne
girani thi vahi divar mujh ko
jinhen hai naaz apne faslon par
pakaḌne den zara raftar mujh ko
kabhi hoti na phir laḌne ki himmat
mili ab tak na aisi haar mujh ko
kisi ne bhej kar kaghaz ki kashti
bulaya hai samundar paar mujh ko
kabhi Duubi na teri naav ‘rahi’
sikhaya tairna be-kar mujh ko
Leave a Reply