vahi meri ḳhushi ka mas.ala hai
jo sahra men nami ka mas.ala hai
shajar bhi to zamin ke phephḌe hain
na kaaTo zindagi ka mas.ala hai
tira chehra hai dhund-alud yuun bhi
basarat men kami ka mas.ala hai
hamen mashkuk nazron se na dekhen
mohabbat to sabhi ka mas.ala hai
nikal aa.i hai munh se baat aisi
ki jis ki vapsi ka mas.ala hai
mira daftar se jaana lazmi hai
mohalle men kisi ka mas.ala hai
Leave a Reply