vafa ka zikr nahin hai karam ki baat nahin
tire suluk men phir bhi sitam ki baat nahin
tujhe main chahun ye mera nasib hai lekin
agar tu mujh ko na chahe to gham ki baat nahin
hasin shaam jo guzri vo yadgar bani
ye baat vaise bhi sach hai bharam ki baat nahin
har ek baat ka meri khuda rahega gavah
har ik janam ki hai ye ik janam ki baat nahin
ghazal vo kaisi vo naghma hi kya rahega ‘kiran’
tire kalam men jab tak sanam ki baat nahin
Leave a Reply