TuuT raha hai tan kya kahiye
soch ka bhari-pan kya kahiye
kya gham hai kaise batla.en
kaisi hai uljhan kya kahiye
ḳhushbu aur rangon ki duniya
ḳhvabon ka gulban kya kahiye
jebon ke ḳhali mausam men
kya kya chahe man kya kahiye
yadon ki guḌiyon se khele
buḌhon ka bachpan kya kahiye
Leave a Reply