• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tu Apni Aawaz Mein Gum Hai Main Apni Aawaz Mein Chup

Tu Apni Aawaz Mein Gum Hai Main Apni Aawaz Mein Chup

obaidullah-aleem

tu apni avaz men gum hai main apni avaz men chup

donon biich khadi hai duniya aina-e-alfaz men chup

avval avval bol rahe the khvab-bhari hairani men

phir ham donon chale gae patal se gahre raaz men chup

khvab-sara-e-zat men zinda ek to surat aisi hai

jaise koi devi baithi ho hujra-e-raz-o-niyaz men chup

ab koi chhu ke kyuun nahin aata udhar sire ka jivan-ang

jante hain par kya batlaen lag gai kyuun parvaz men chup

phir ye khel-tamasha saara kis ke liye aur kyuun sahab

jab is ke anjam men chup hai jab is ke aghaz men chup

nind-bhari ankhon se chuma diye ne suraj ko aur phir

jaise shaam ko ab nahin jalna khinch li is andaz men chup

ghaib-samay ke gyaan men pagal kitni taan lagaega

jitne sur hain saaz se bahar us se ziyada saaz men chup

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nahin Malum Ye Kya Kar Chuke Hain

poet

Jo Hum Kahen Wahi Tarz-E-Bayan Rakhta Hai

Raushni Ban Ke Andhere Pe Asar Humne Kiya

ahmad-ali-barqi-azmi

dar-Ba-dar Phirta Tha Jab-Tab Tujhe Aabaad Kiya

sauda-mohammad-rafi

Mast-E-Sahar O Tauba-Kunan Sham Ka Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet