thahra hai qarib-e-jan aa kar
jaane ka nahin ye dhyan aa kar
aina liya to teri surat
hansne lagi darmiyan aa kar
tapke na ye ashk chashm-e-gham se
jaae na ye mehman aa kar
palti jo hava gae dinon ki
dohra gai dastan aa kar
qadmon se lipat gae hain raste
aata hi nahin makan aa kar
ja pahunchi zamin us se milne
milta na tha asman aa kar
Leave a Reply