tire ehsas men Duuba hua main
kabhi sahra kabhi dariya hua main
tiri nazren Tiki thiin asman par
tire daman se tha lipTa hua main
khuli ankhon se bhi soya huun aksar
tumhara rasta takta hua main
ḳhuda jaane ke daldal men ghamon ke
kahan tak ja.unga dhansta hua main
bahut pur-ḳhar thi rah-e-mohabbat
chala aaya magar hansta hua main
ka.i din baad us ne guftugu ki
ka.i din ba.ad phir achchha hua main
Leave a Reply