tamasha apna sar-e-rah-guzar banaya jaa.e
jo rahzan hai use rahbar banaya jaa.e
saliqa ye bhi to hai sar uTha ke jiine ka
jo ham men aib hain in ko hunar banaya jaa.e
tamam umr isi kaam men rahe masruf
har ek dil men mohabbat ka dar banaya jaa.e
ḳhushi ka kya hai hamesha fareb deti hai
to apne gham ko hi ab mo’atabar banaya jaa.e
jahan na paḌ sake saaya bhi koi nafrat ka
mohabbaton ka ik aisa nagar banaya jaa.e
abhi nuqush numayan nahin hue hain mire
tarash kar mujhe bar-e-digar banaya jaa.e
koi nahin abhi tayyar saath chalne ko
so apne saa.e ko hi ham-safar banaya jaa.e
sab apni zaat men gum hain ye soch kar ‘nayab’
para.e dard ko kyuun dard-e-sar banaya jaa.e
Leave a Reply