sitam ko un ka karam kahen ham jafa ko mehr-o-vafa kahen ham
zamana is baat par ba-zid hai ki narava ko rava kahen ham
kuchh aisa sauda hai sab ke sar men mizaj bigde hue hain sab ke
koi bhi sunta nahin kisi ki kahen kisi se to kya kahen ham
ye saari baten hain dar-haqiqat hamare akhlaq ke munafi
sunen burai na ham kisi ki na khud kisi ko bura kahen ham
na jaane ham se hai kya tavaqqo? nahin kisi tarah jan-bakhshi
zamana is pe bhi mo’tariz hai agar khuda ko khuda kahen ham
hamari aa.hen bhi be-asar hain hamare naale bhi na-rasa hain
vo dard jis ka na ho mudava use na kyuun la-dava kahen ham
na din ko hai kuchh sukun mayassar na shab ko aati hai niind ham ko
yahi mohabbat ki ibtida hai to phir kise intiha kahen ham
yahi taqaza hai maslahat ka isi men hai afiyat bhi ‘atish’
kisi se dil ko jo ranj pahunche use khuda ki raza kahen ham
Leave a Reply