Shab-E-Daraaz Tujhe Kuchh KHabar Gai Ki Nahin

shab-e-darāz tujhe kuchh ḳhabar ga.ī ki nahīñ

sahar qarīb se chhū kar guzar ga.ī ki nahīñ

chaman meñ jaao zarā aur phir batāo hameñ

guloñ ke chehre se zardī utar ga.ī ki nahīñ

tumhāre shahr meñ kyuuñ aaj hū kā aalam hai

sabā idhar se guzar kar udhar ga.ī ki nahīñ

patā karo mire ma.ashūq kī galī jā kar

bahār bhī vahīñ jā kar Thahar ga.ī ki nahīñ

Leave a Comment