saae phail gae kheton par kaisa mausam hone laga
dil men jo thahrao tha ik dam darham-barham hone laga
pardesi ka vapas aana jhuti khabar hi nikli na
budhi maan ki aankh ka taara phir se maddham hone laga
bachpan yaad ke rang-mahal men kaise kaise phuul khile
dhol baje aur aansu tapke kahin moharram hone laga
dhor dangar aur pankh pakheru hazrat-e-insan kaath kabad
ik sailab men bahte bahte sab ka sangam hone laga
sab se yaqin uthaya ham ne dost padosi din tarikh
id-milan ko ghar se nikle shor-e-matam hone laga
Leave a Reply