sab ki maujudgi samajhta hai
dil kisi ki kami samajhta hai
ek hi shaḳhs se main vaqif huun
jo mujhe ajnabi samajhta hai
go mujhe janta nahin lekin
vo miri sha.iri samajhta hai
vasl ke ashk hijr ke aansu
vo nami ko nami samajhta hai
vahi meri zaban se hai vaqif
jo miri ḳhamushi samajhta hai
aap ke samne main ḳhush huun magar
mere dukh raam hi samajhta hai
yahi urdu zaban ka hai jaadu
ab mujhe har koi samajhta hai
main use baat dil ki kahta huun
vo use sha.iri samajhta hai
itna nadan bhi nahin hai vo
jo tumhari hansi samajhta hai
kaun ‘mahtab’ ab tumhara hai
kaun dil ki lagi samajhta hai
Leave a Reply