Rah-E-Junun Pe Chal Pare Jina Muhaal Kar Liya

rāh-e-junūñ pe chal pare jiinā muhāl kar liyā

ham ne talāsh-e-husn meñ ḳhud ko niDhāl kar liyā

mujh ko to ḳhair chhoḌiye merī to baat aur thī

ye bhī bahut hai us ne kuchh apnā ḳhayāl kar liyā

kaise vo din the pyaar ke ḳhud pe bhī jab yaqīn thā

pal meñ judā.ī Daal lī pal meñ visāl kar liyā

jaise rahe haiñ vasl meñ marte rahe haiñ hijr meñ

ye bhī kamāl kar liyā vo bhī kamāl kar liyā

apnī bhī kuchh ḳhabar nahīñ dil kī bhī kuchh ḳhabar nahīñ

ham ne tumhāre hijr meñ kaisā ye haal kar liyā

Leave a Comment