• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Pite Hain Mai Gunah Ba-Qasd-E-Sawab Hai

Pite Hain Mai Gunah Ba-Qasd-E-Sawab Hai

poet

piite hain mai gunah ba-qasd-e-savab hai

masti ke valvale hain zaman-e-shabab hai

ai charagar nadamat-e-be-ja na lijiyo

dil chaak ho chuka hai jigar aab aab hai

zahid muaaf zabt-e-tabiat nahin hamen

saghar chhalak rahe hain hava-e-shabab hai

bedariyan hain dida-e-zanjir ki tarah

vo aankh hai azal se jo mahrum-e-khvab hai

ai shor-e-hashr thahar ki fursat nahin hamen

hain ghaflaton ke josh javani ka khvab hai

ai shaikh tul-e-rish-e-muqaddas ghataiye

had se ziyada jo hai usi par azaab hai

ai be-khabar qarib hai farda-e-baz-purs

hushiyar ho ki jald zaman-e-hisab hai

dekha nigah-e-ghaur se ham ne jo ai ‘nasim’

har sher is ghazal ka tiri intikhab hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHud Apne Aapko Zanjir Karta Rahta Hai

asrarul-haq-majaz

Hamara Jhanda

Man Le Ab Bhi Meri Jaan-E-Ada Dard Na Chun

Main Waqt Ki Aabju Se Aage Nikal Gaya Hun

poet

Jis dil Mein Teri Zulf Ka Sauda Nahin Hota

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet