• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Parinde Ki Aankh Khul Jati Hai

Parinde Ki Aankh Khul Jati Hai

sara-shagufta

kisi parinde ki raat ped par fadfadati hai

raat ped aur parinda

andhere ke ye tinon raahi

ek siidh men aa khade hote hain

raat andhere men phans jaati hai

raat tu ne meri chhanv kya ki

jangal chhota hai

is liye tumhen gahri lag rahi huun

gahra to main parinde ke so jaane se hua tha

main roz parinde ko dilasa dene ke baad

apni kaman ki taraf laut jaati huun

teri kaman kya subh hai

main jab mari to mera naam raat rakh diya gaya

ab mera naam fasla hai

tera dusra janm kab hoga

jab ye parinda bedar hoga

parinde ka chahchahana hi mera janm-din hai

fasla aur ped haath milate hain

aur parinde ki aankh khul jaati hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Apni Hasti Se Tha Khud Main Bad-Guman Kal Raat Ko

Jab Phail Ke Viranon Se Virane Milenge

Hamari Zist Ka Ek Ek Bab Khul Jae

poet

Jab Hue Tum Chaman Mein Aan Khade

saleem-kausar

Koi Sachche Khwab dikhata Hai Par Jaane Kaun dikhata Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet