• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Pahli Kiran

Pahli Kiran

noon-meem-rashid

koi mujh ko daur-e-zaman-o-makan se nikalne ki surat bata do

koi ye sujha do ki hasil hai kya hasti-e-raegan se

ki ghairon ki tahzib ki ustuvari ki khatir

abas ban raha hai hamara lahu momyai

main us qaum ka fard huun jis ke hisse men mehnat hi mehnat hai nan-e-shabina nahin hai

aur is par bhi ye qaum dil shaad hai shaukat-e-bastan se

aur ab bhi hai ummid-e-farda kisi sahir-e-be-nishan se

miri jaan shab-o-roz ki is mashaqqat se tang aa gaya huun

main is khisht-kobi se ukta gaya huun

kahan hain vo duniya ki tazin ki arzuen

jinhon ne tujhe mujh se vabasta-tar kar diya tha

tiri chhatiyon ki ju-e-shir kyuun zahr ka ik samundar na ban jaae

jise pi ke so jaae nannhi si jaan

jo ik chhipkili ban ke chimti hui hai tere sina-e-meharban se

jo vaqif nahin tere dard-e-nihan se

ise bhi to zillat ki pabandagi ke liye ala-e-kar banna padega

bahut hai ki ham apne aaba ki asuda-koshi ki padash men

aaj be-dast-o-pa hain

is ainda naslon ki zanjir-e-pa ko to ham tod dalen

magar ai miri tiira raton ki sathi

ye shahnaiyan sun rahi ho

ye shayad kisi ne masarrat ki pahli kiran dekh paai

nahin is dariche ke bahar to jhanko

khuda ka janaza liye ja rahe hain farishte

usi sahir-e-be-nishan ka

jo maghrib ka aaqa tha mashriq ka aaqa nahin tha

ye insan ki bartari ke nae daur ke shadyane hain sun lo

yahi hai nae daur ka partav-e-avvalin bhi

utho aur ham bhi zamane ki taaza viladat ke is jashn men

mil ke dhumen machaen

shuaon ke tufan men be-mahaba nahaen

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Biranji Panw Mein Uske Chubhi Hai

Sultan Baho

Raatin Ratti Nind Na Aawe dihan Rahe Hairani Hu

Mera Nishan Bhi DhunDh Ghubar-E-Mah-O-aKHtar Mein

Kisi Ke Husn-E-Alam-Tab Ki Tanwir Ke Sadqe

Taskin-O-Rahm Se Na to Lafz-E-Dua Se Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet