• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Pahla Jashn-E-Azadi

Pahla Jashn-E-Azadi

asrarul-haq-majaz

ba-sad ghurur ba-sad fakhr-o-naz-e-azadi

machal ke khul gai zulf-e-daraz-e-azadi

mah-o-nujum hain naghma-taraz-e-azadi

vatan ne chheda hai is tarah saz-e-azadi

zamana raqs men hai zindagi ghazal-khvan hai

zamana raqs men hai zindagi ghazal-khvan hai

har ik jabin pe hai ik mauj-e-nur-e-azadi

har ik aankh men kaif-o-surur-e-azadi

ghulami khak-basar hai huzur-e-azadi

har ek qasr hai ik bam-e-tur-e-azadi

har ek baam pe ik parcham-e-zar-afshan hai

har ek samt nigaran-e-yasmin-paikar

nikal pade hain dar-o-bam se mah-o-akhtar

vo sail-e-nur hai khira hai aadmi ki nazar

ba-sad ghurur-o-ada khanda-zan hai gardun par

zamin-e-hind ki jola-nigah ghazalan hai

sada do anjum-e-aflak raqs farmaen

butan-e-kafir-o-saffak raqs farmaen

sharik halqa-e-idrak raqs farmaen

tarab ka vaqt hai bebak raqs farmaen

ki ye bahar-e-payami-e-sad-baharan hai

ye inqalab ka muzhda hai inqalab nahin

ye aftab ka partav hai aftab nahin

vo jis ki tab-o-tavanai ka javab nahin

abhi vo sai-e-junun-khez kamyab nahin

ye intiha nahin aghaz-e-kar-e-mardan hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mere honTon Ka Abhi Zahar Tere Jism Mein Hai

poet

Ai Baghban Ye Jabr Hai Ya iKHtiyar Hai

Kabhi Kabhi Koi Chehra Ye Kaam Karta Hai

shakeel-badayuni

Kahan Hai Aa Ja

KHWAJA GHULAM FARID

Taide Nainan Tir Chalaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet