Numud-E-Sham Jo Tira-Shabi Bhi Deti Hai

numūd-e-shām jo tīra-shabī bhī detī hai

ba-iḳhtitām-e-safar raushnī bhī detī hai

ye baat ahl-e-ḳhirad kī samajh meñ aa na sakī

junūñ kī be-ḳhabarī āgahī bhī detī hai

bahut hī ḳhuub hai yaaro ḳhulūs-e-dil-dārāñ

ajiib azm magar bekasī bhī detī hai

sukūt-e-sāz meñ āhañg-e-dard-e-dil muzmar

sadā-e-karb kabhī ḳhāmushī bhī detī hai

nishān-e-jāda-e-manzil ba-rah-ravān-e-vafā

shab-e-siyāh meñ ḳhud tīrgī bhī detī hai

vo ek sā.ad-e-sīmīñ vo ek māh-jabīñ

sukūn-e-qalb ko āshuftagī bhī detī hai

ye kah rahī thī nasīm-e-sahar kanār-e-furāt

zamīn-e-qatl-e-vafā zindagī bhī detī hai

Leave a Comment