na.i bazm-e-aish-o-nashat men ye maraz suna hai ki aam hai
kisi lomḌi ko malaria kisi menDki ko zukam hai
ye ajiib saqi-e-mah-vash tire mai-kade ka nizam hai
hua jaise tu bhi divaliya na to ḳhum na mai hai na jaam hai
yahan zikr-e-ab-o-ta.am kya yahan khana piina haram hai
yahan bart rakhte hain roz sab yahan roz mah-e-siyam hai
na to muttafiq kisi amr men na to muttahid kisi kaam men
mire leaderon ka dimagh hai ki himaqaton ka godam hai
abhi hai gharibon ki chashm tar abhi un ke haal pe ik nazar
abe inqalab Thahar zara abhi tujh se aur bhi kaam hai
main suna chuka huun hazar baar unhen dard-o-yas ki dastan
na yaqin ho to vo puchh len ki gavah telegram hai
abhi us ko jism to dhakne do abhi us ko peT to bharne do
abhi us ko fikr-e-avam kya abhi nanga bhuka nizam hai
vahi ḳhadimana ravish rahe ye ḳhayal-e-rahbari chhoḌ do
ise pi sakoge na dost tum ye bahut hi gaḌha qavam hai
tujhe apne aur para.e ka nahin kuchh shu.ur abhi talak
mire jan-nisaron ki lisT men zara dekh tera bhi naam hai
bhala ‘shauq’ un se dabenge kya bhala ‘shauq’ un se Darenge kya
bhala ‘shauq’ dar se uThenge kya ye ḳhayal dost ka ḳhaam hai
Leave a Reply