mire vajud abhi na-tavan nahin hona
phir is ke ba.ad ye mausam javan nahin hona
kise ḳhabar thi ki mahshar ka hoga ye bhi rang
zamin ka hona magar asman nahin hona
hamen ḳhabar hai ki vahshat Thikane lagni hai
hamara josh abhi ra.egan nahin hona
vajud apna hai aur aap tai karenge ham
kahan pe hona hai ham ko kahan nahin hona
ab is ke ba.ad sakat kuchh nahin rahi mujh men
ab is se aage ka qissa bayan nahin hona
hamari basti ka dukh hai hamin se puchho miyan
ki qabren honi magar astan nahin hona
maqam-e-shukr hai mere liye ki mere murid
ye tera aaj mira qadr-dan nahin hona
main ḳhandan ka sab se baḌa madari huun
tamasha hota rahega yahan nahin hona
bas itni duuri mayassar rahegi donon ko
ki fasla bhi koi darmiyan nahin hona
ajab azaab tha ki apne shahr-e-arman men
hamare vaste ja-e-aman nahin hona
ye zulm hai ki munadi ho imtihanon ki
phir is ke ba.ad koi imtihan nahin hona
ajab supurdagi-e-jan ka marhala tha ‘ali’
hamare hone ka ham ko guman nahin hona
Leave a Reply