main kahan tak tujhe safa.i duun
ḳhud ko ilzam-e-bevafa.i duun
tujh se main dushmani shadid karun
pyaar bhi tujh ko intiha.i duun
a miri jaan gar ijazat ho
zaḳhm ko izn-e-lab-kusha.i duun
zindagi tujh ko e’tibar nahin
apne hone ki main gavahi duun
mujh ko ḳhud mere paas le aana
main tujhe gar kahin dikha.i duun
ik zamana hai gosh-bar-avaz
ik zamane ko main suna.i duun
va karun tujh pe manzil-e-idrak
phir tujhe zauq-e-na-rasa.i duun
Leave a Reply