main huun hairan ye silsila kya hai
aaina mujh men dhundhta kya hai
khud se betab huun nikalne ko
koi batlae rasta kya hai
main hababon ko dekh kar samjha
ibtida kya hai intiha kya hai
main huun yakja to phir mire andar
ek muddat se tutta kya hai
khud hi tanhaiyon men chillaun
khud hi sochun ye shor sa kya hai
jaane kab kya junun men kar jaun
main to divana huun mira kya hai
Leave a Reply