• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lazim Hai Soz-E-Ishq Ka Shola Ayan Na Ho

Lazim Hai Soz-E-Ishq Ka Shola Ayan Na Ho

poet

lazim hai soz-e-ishq ka shola ayaan na ho

jal-bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuan na ho

zakhm-e-jigar ka va kisi surat vahan na ho

paikan-e-yar is men jo shakl-e-zaban na ho

allah re be-hisi ki jo dariya men gharq hon

talab ki tarah kabhi paani ravan na ho

gul khanda-zan hai chahchahe karti hai andalib

phaili hui chaman men kahin zafaran na ho

bhago yahan se ye dil-e-nalan ki hai sada

bahke ho yaaro ye jaras-e-karvan na ho

hasti adam se hai miri vahshat ki ik shalang

ai zulf-e-yar paanv ki tu bediyan na ho

lena bajae fatiha turbat pe nam-e-yar

marne pe ye khayal hai vo bad-guman na ho

naaqa chala hai najd men laila ka be-mahar

majnun ki ban padegi agar sar-ban na ho

chalon se charkh ki ye mira azm hai ‘surur’

is sarzamin pe jaun jahan asman na ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Khuli Aankhen Hain Par Soya Hua Hun

parveen-fana-syed

Kahan Hai Shorida-Sar Musafir

Sufi

Kya Kya Mohabbaton Ke Zamane Badal Gae

poet

Aankh Tikti Na Thi Chehre Pe Hasin Aisa Tha

poet

Wusat-E-Bahr-E-Ishq Kya Kahiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet