kyuun ashna-e-gham dil-e-vahshat-asar nahin
manus-e-iltifat vo zalim agar nahin
main huun talash-e-rah-e-mohabbat hai dasht hai
saaya nahin nishan nahin ham-safar nahin
phir rah-rau se leta huun manzil ka kuchh suragh
sab rahbar hain mere koi rahbar nahin
phir andalib-e-zar ne tinke uTha liye
shayad chaman ujaḌne ki is ko ḳhabar nahin
main aur jam-o-naghma-o-mutrib se vasta
ḳhush huun ki mera bazm-e-tarab men guzar nahin
kyuun jal na jaa.e tab-e-ruḳh-e-yar dekh kar
dil hai ye koi chashm-e-haqiqat-nigar nahin
auraq-e-do-jahan pe jo tahrir ho sake
itna mira fasana-e-gham muḳhtasar nahin
zabt-e-junun ne Dhaa.i hain dil ki imaraten
ab is dayar men koi divar-o-dar nahin
dil ko supurd karte hain apna payam-e-jan
ye mo’tabar nahin to koi mo’tabar nahin
paivast hon na jis men zamane ke dil ‘jigar’
kuchh aur hai vo aap ka tir-e-nazar nahin
kaisi dua kahan ka asar kis ka mudda.a
kuchh aag ke siva mire dil men ‘jigar’ nahin
Leave a Reply