kya ye fareb-e-gardish-e-shams-o-qamar nahin
ab shab bhi shab nahin hai sahar bhi sahar nahin
a.ina kah raha hai ki tanha nahin huun main
hairat ki baat ye ki koi ham-safar nahin
kahte hain dida-var ki bayaban kaho use
vo gulsitan ki jis men koi dida-var nahin
surat jo dekhiye to har ik mir-e-karvan
manzil se puchhiye to koi rahbar nahin
‘nashtar’ liye jo phirti hai sahra-o-dasht men
hai aur kya jo hasrat-e-divar-o-dar nahin
Leave a Reply