KHushki Pe Rahungi Kabhi Pani Mein Rahungi

ḳhushkī pe rahūñgī kabhī paanī meñ rahūñgī

tā umr isī naql-e-makānī meñ rahūñgī

maiñ jism nahīñ husn huuñ ai chashm-e-abad-tāb

mar kar bhī mohabbat kī kahānī meñ rahūñgī

tābinda raheñge mirī āñkhoñ ke kināre

ashkoñ meñ Dhalī huuñ ki ravānī meñ rahūñgī

ajdād kī qurbat se uThāyā gayā mujh ko

goyā maiñ buzurgoñ kī nishānī meñ rahūñgī

sheroñ hī pe mauqūf nahīñ merī haqīqat

alfāz se bhāgūñgī ma.ānī meñ rahūñgī

ai shā.er-e-dil-soz mire dukh ko bayāñ kar

tā hashr tirī sho.ala-bayānī meñ rahūñgī

ab guḌiyā paToloñ se ilāqa nahīñ ‘māhīn’

bachpan se nikal aa.ī javānī meñ rahūñgī

Leave a Comment