ḳhamosh rah kar pukarti hai
vo aankh kitni shararti hai
hai chandni sa mizaj us ka
samundaron ko ubharti hai
main badalon men ghira jazira
vo mujh men savan guzarti hai
ki jaise main us ko chahta huun
kuchh aise ḳhud ko sanvarti hai
ḳhafa ho mujh se to apne andar
vo barishon ko utarti hai
Leave a Reply